गुरु सुदर्शन वाणी
Monday, November 30, 2009
Guru Aradhana Ke Gur ( Qualities for Good pupil ) - 1
Guru Aradhana ke liye Shradhapurna Hridaya avashyak hai.
A Pupil must be Obedient
.
Sunday, November 29, 2009
Kuch Moti Kuch Seep - 5
Yadi tumhe apne se bado ya kisi mein koi burai najar aati ho, to muh se gao mat. Paas akar spastikaran kar lo, isse ashatana se bach jaoge.
Saturday, November 28, 2009
Man Chintit hone Ke Karan (Reasons of worries) - 4
Vrattiyo(wishes) ka bina ichha daman karne se man chintit hota hai.
वृत्तियों का बिना इच्छा दमन करने से मन चिन्तित होता है!
Friday, November 27, 2009
Dhani hokar daani hona KalpVriksha ke saman hai.
Pujya Gurudev ne DHarm rupi kalpvriksha ke das bhedo mein daan ki mahima batai hai.
Dhanvaan hokar bhi daan dene ki bhavna rakhna sone pe suhage ki tarah uttam hai.
Thursday, November 26, 2009
Murkha Nara ( Foolish Man ) - 4
Upkari Ka Upkaar na manne vala Murkhs Nara ke saman hai.
Wednesday, November 25, 2009
Kya Bano Kya Na Bano ( What to be & what not to be ) - 4
Mitvyayi bano, Kanjoos nahin.
Tuesday, November 24, 2009
Gurudev Ki AAth Sikhhayein - 4
Jinhe Apni Prashansa sunkar santulan nahi rahata, ve us insan ki tarah kamjor rahenge, jinhe bhojan nahi pachta.
If we loose our balance to our praise then we will be weakened like a man having dysentry .
Monday, November 23, 2009
Seekh Bhai Seekh (Learn Something Good ) - 4
Dukh ko Mehman Samajh Kar uska Swagat kejeye aur Pratiksha kejeye. Sukh ka Sadmitra uske Piche-Piche aa raha hai.
Welcome the bad time as guest with patience as Good time is following like a friend.
Sunday, November 22, 2009
Murkha Nara (Foolish Man ) -3
Bhojan Ke Samay Krodh karne wala Manushya
Murkha Nara
Ke saman Hai.
Foolish man shows anger while eating.
Saturday, November 21, 2009
Gurudev Ki AAth Sikshayein - 3
Jinhe apne Virodhi ke gun najar nahi aate, ve apne Virodhiyo par jhuthe aarop lagate rahenge.
Who do not watch Quality of their opponents, they always falsely accused them.
Friday, November 20, 2009
Kya Bano Kya Na Bano ( What to be and what not to be ) - 3
Premi ( Admirer ) bano ( Maniac )Pagal nahi.
Thursday, November 19, 2009
Kalp Vriksha ( A mythological tree that fulfill all the needs) - 3
Adhikari Hokar Nyaysheel hona Kalpa-Vriksha ke saman hai.
Having rights and loves justice is like the
kalpa-vriksha.
Wednesday, November 18, 2009
Murkha Nara (Foolish Man) - 2
Dharam-Charcha Ke Samay Batein Karne vala Murkha Nara Ke saman hai.
Talking aimlessly while the religious topics is proving to be idiot.
Tuesday, November 17, 2009
Kya Bano Kya Na Bano ( What to be and what not to be ) - 2
Khare (truth lover) Bano khare (rude) Nahi.
Monday, November 16, 2009
Gurudev Ki AAth Sikshayein - 2
Jo bolte Samay apne Josh ko bol mein mila dete hai, Ve kabhi dusro ka dil nahi jeet sakenge.
One who talk with pride ( Josh ) , can never win other's Heart
Sunday, November 15, 2009
Seekh Bhai Seekh ( Learn Something Good ) - 3
Samay par sochkar sahi kam kejiye.
Yash aur safalta ke madhur phal se trapti anubhav kejiye.
Do the work at righttime with the right-thinking and you will experiance the sweet fruits of success and fame.
Saturday, November 14, 2009
Man Chintit hone Ke Karan (Reasons of worries) - 3
Kashay - Asakti se man chintit hota hai.
Passions leads man to worries.
Friday, November 13, 2009
Kuch Moti Kuch Seep - 4
Guru agya yadi man na ho to bhi manne mein koi harja nahi hai.
Bachoo ko jabardasti pilayi gayi davai bhi kam aati hai.
Guru-Agya Should always be followed.
As the medicine given to the children ( forcingly ) shows right results.
Thursday, November 12, 2009
Seekh Bhai Seekh ( Learn Something Good ) - 2
Jaldbaji mein koi kam karke jaindagi bhar ansu mat bahaiye.
Dont work in haste or you may regret the whole life.
Wednesday, November 11, 2009
Kalp Vriksha ( A mythological tree that fulfill all the needs) - 2
Gyani Hokar Vinamra hona Kalpa Vriksha ke saman hai.
Tuesday, November 10, 2009
Man Chintit hone Ke Karan (Reasons of worries) - 2
Atiit (past) ki Ashreyaskar (Uncreditable) ghatnao ki chinta se man chintit hota hai.
Thinking about Uncreditable events of past makes us worried
Monday, November 9, 2009
Kuch Moti Kuch Seep (3)
Jinhe atm-sudhar karna hai unke liye guru bhi hai, shastra bhi hai.
Par jinhe apne man ke anusar chalna hai unhe bhagvan ki vaani bhi nahi mana sakti.
Sunday, November 8, 2009
Gurudev Ki AAth Sikshayein
Jo Svayam par ankush nahi rakh sakte aur dusro ka ankush nahi pasand karte, Ve sada shaitan ke ghere mein rahenge.
Those who can't control themselves and dont like other's control, will always be surrounded by evil.
Saturday, November 7, 2009
Kya Bano Kya Na Bano ( What to be and what not to be )
Samalochak (Critic) bano Nindak (cynical ) Nahi.
Friday, November 6, 2009
Murkha Nara (Foolish Man)
Daan (charity) mein antrai (disturbance) karne vala Murkha Nara ke saman hai.
Thursday, November 5, 2009
Man Chintit hone Ke Karan (Reasons of worries)
Bhavisya ki asambhav aur Galat Kalpnao se Man chintit hota hai.
Unnatural and bad thinking of future makes our heart worried.
Wednesday, November 4, 2009
Seekh Bhai Seekh ( Learn Something Good )
Krodh ki aag barsakar shanti ki fulvari mat sajaiye.
Tuesday, November 3, 2009
Kalp Vriksha ( A mythological tree that fulfill all the needs)
Roopvan hokar bhi Sheelvan hona kalp vriksha ke saman hai.
Monday, November 2, 2009
Kuch Moti Kuch Seep (2)
Kavi aur Sant ka kam keval Josh bharna hi nahi hai.
unhe josh ke phal ki aur bhi paini najar rakhani chahiye.
Sunday, November 1, 2009
kuch moti kuch seep (1)
Yadi achran mein bhaddapan aur vyavahar mein adiyal vratti hai, to bahar ke puja-paath aur nitya-niyam bhi dhakoshala ban jate hain.
Newer Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)